Информация о песне На данной странице вы можете ознакомиться с текстом песни Ahista, исполнителя - Pankaj Udhas. Песня из альбома Stolen Moments, в жанре Восточная музыка
Дата выпуска: 31.12.1997
Лейбл звукозаписи: Universal Music India
Язык песни: Суахили
Ahista |
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga |

Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge |
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge |
Aur aahista kijiye baatein |
Aise bolo ki dil ka afsana, dil sune aur nigaah dohraaye |

Apne chaaron taraf ki yeh duniya, saans ka shor bhi na sun paaye |
Na sun paaye |
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga |
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge |
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge |
Aur aahista kijiye baatein |
Aayiye band kar lein darwaaze, raat sapnein chura na le jaaye |

Koi jhonka hawa ka awaara, dil ki baaton ko uda na le jaaye |
Na le jaaye |
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga |
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge |
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge |
Aur aahista kijiye baatein |
Aaj itne kareeb aa jao, dooriyon ka kahin nishaan na rahe |

Aise ek doosre mein gum ho jaaye, faasla koyi darmiyaan na reh jaaye |
Na reh jaaye |
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga |
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge |
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge |
Aur aahista kijiye baatein |
…sandip.mahale. |