| Mangal mai bhaya mochini, Durga sukh ki |
| khaan |
| Jiske charno ki sudha, Swayam piye bhagwaan |
| Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath |
| Jisase banta bhikshuk bhi, Duniya ka samrat |
| Amba divya swarupani, Kaye so prakash |
| Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash |
| Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar |
| Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar |
| Jai jai durge maa… |
| Sadd marg pradarshini, Nyan ka ye updesh |
| Man se karta jo manan, Usake kate kalesh |
| Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap |
| Puran ho man kamna, Bhage dukh santap |
| Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar |
| Iska archan jo kare, Bhav se utre paar |
| Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop |
| Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup |
| Jai jai durge maa… |
| Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen |
| Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen |
| Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de |
| Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare |
| Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar |
| Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar |
| Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath |
| Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat |
| Jai jai durge maa… |
| Maha gauri vardayini, Maiya dukh nidaar |
| Shiv duti bramhachaarini, karti jag kalyan |
| Sankat harni bhagwati, Ki tu mala pher |
| Chinta sakal mitayegi, Ghadi lage na der |
| Paras charnan durga ke, Jhuk jhuk matha tek |
| Sona lohe ko kare, Adbhut kautak dek |
| Bhavtarak parmeshwari, Leen kare anant |
| isake vandan bhajan se, Paapo ka ho ant |
| Jai jai durge maa |
| Durga maa dukh harne waali, Mangal mangal |
| karne wali |
| Bhay ke sarp ko marne wali, Bhav needhi se jag |
| taarne wali |
| Atyachar pakhand ki damni, Ved purano ki ye |
| janani |
| Daitya hi abhiman ke mare, Deen heen ke kaaj |
| sanwaare |
| Sarv kalaon ki ye malik, Sarnagat dhan heen ki |
| palak |
| Ichchhit var pradan hai karti, Har mushkil |
| aasan hai karti |
| Dhyamari ho har bhram mitave, kan kan bhitar |
| kala dikhave |
| Kare asambhav ko ye sambhav, Dhan dhanya or |
| deti vaibhav |
| Maha siddhi maha yogini mata, Mahisa sur ki |
| mardini mata |
| Puri kare har man ki asha, Jag hai iska khel |
| tamasha |
| Jai durga jai jai damyanti, Jeevan dayini ye hi |
| jayanti |
| Ye hi savitri ye koukari, Maha vidya ye karo |
| upkari |
| Siddh manorath sabke karti, Bhakt jano ke |
| sankat harti |
| Vish ko amrit karti pal mein, Yehi tairati patthar |
| jal mein |
| Iski karuna jab hai hoti, Maati ka kan banta |
| moti |
| Patjhad mein ye phool khilaave, Andhiyare mein |
| jyot jalaave. |
| Vedon mein varnit mahima iski, Aisi sobha or |
| hai kisaki |
| Ye narayani ye hi jwaala, Japiye iske naam ki |
| mala |
| Ye hi hai sukeshwari mata, Iska vandan kare |
| vidhaata |
| Pag pankaj ki dhuli chandan, Iska dev kare |
| abhinandan |
| Jagdamba jagdiswari, Durga dayaa nidhaan |
| Iski karuna se bane, Nirdhan bhi dhanwaan |
| Chhin masta jab rang dikhaave, Bhagyheen ke |
| bhagya jagaave |
| Siddhi daati aadi bhawaani, Isko sewat hai |
| brahm gyaani. |
| Shail sutama sahkti saala, Iska har ek khel |
| niraala |
| Jis par hove anugrah iska, Kabhi amangal ho na |
| uska |
| Iski dayaa ke pankh lagaa kar, Ambar chhute |
| hain kayi chaakar |
| Rayi ye hi parwat karti, Gaagar mein hai saagar |
| bharti |
| Iske kabze jag ka sab hai, Shakti ke bin shiv bhi |
| sav hai |
| Shakti hi hain shiv ki maya, Shakti ne bramhand |
| rachaaya |
| Is sakti ka sadhak banana, Nisthawan upasak |
| banna |
| Pushpanda bhi naam hai isaka, Kan kan mein |
| hai ghaam isaka |
| Durga maa prakaas swaroopa, Jap tap gyaan |
| tapasya roopa |
| Man mein jyot jala lo isaki, Saachi lagan lagaa lo |
| iski |
| Kaal raatri ye maha maya, Shridhar ke sir iski |
| chhaya |
| Iski mamta pawan jhula, Jisko dhyanu bhakt na |
| bhula |
| Iska chintan chinta harta, Bhakto ke bhandar |
| hai bharta |
| Sanson ka sur mandal chhedo, Nav durga se |
| muh na modo |
| Chandra ghanta katyayani, Maha dayalu maa |
| shiwani |
| Iski bhakti kasht niware, Bhav sindhu se paar |
| utaare |
| Agmanant agochar maiya, Sheetal madhukar |
| iski chhaiya |
| Shristi ka hai mul bhawaani, Ise kabhi na bhulo |
| praani |
| Durga maa prakas swaroopa, Jap tap gyan |
| tapsya roopa |
| Man mein jyot jala lo isaki, Sachi lagan lagaa lo |
| isaki |
| Durga ki kar sadhana, man mein rakh vishwash |
| Jo magoge paoge, kya nahi maa ke paas… |